Someone once asked...

“Hum logo ne plan banaya tha ghumne ka but me ghar me late ho gyi thi to mene unhe bola ki me late ho sakti hu. Ussne bola ki jaldi aa to mene jese tese manage kiya time. Raste per mujhe call aya or usne pucha kaha he mene bola me pohoch hi gyi or usne bola me kabki aa gyi. Jab me actual jaha hum milne wale the bo udhar thi hi nahi to call kiya pucha kaha ho to usne bol me ghar se nikal rahi hu yaha tak tyar bhi nahi hui thi mene bola aa jaldi bo bolti jab to ek or dost thi usko pick up karle bo yaha per he. Me jab usko pick karne gyi bo bhi baha per nahi thi to mene call me pucha kaha he bo boli me yahi hu to mene pucha exact jagah bata ya idhar aaja me apni gadi aise jagah park ki thi taki bo hume asaani se mil jaae but bo aai nahi to mene usse photo bhi diya ye place he yaha aajao. Mene unn dono ka wait lag bhag 1 hour kiya, phir mujhe call ata he hum dono yaha he, mene bhi wait kiya but bo nahi mili jab mene pucha ye kab mili to usne bola ye to mujhe half hour pehle mili. Phir jab me unn dono ke pass phochi to usme ek apna voice tej karke bolti he tu kaha thi tere wajah mera pura din kharab ho gya me to study kar leti to mene kaha sorry but me to tumhara hi wait kar rahi thi tum dono kese mill gye bo boli bo mujhe half hour pehle mili or bo baat ko badhane lagi ki tere wajah mera time waste hua bo baar baar ek hi baat puch rahi thi ki tu kaha thi tu kaha ghum rahi thi but me to unka hi wait kar rahi thi naa me kese ghum lungi”

✦

Someone answered with kindness...

Bhai u are adult apni chhoti chhoti problem ko itna overthink mat karo. Varna it's ur loss always. Cut off with them

Want to find this sign again?